na dekhi thi maine woh khushi
na dekha tha maine woh sapna
na chaha tha maine us dil ko
na socha tha hoga koi apna
na tha khud ka koi iraada
na liya tha kissi se koi waada
na kiya tha kissi ka intezaar
na dekha tha kissi ka raasta
phir kyun chahu main woh khushi
phir kyun dekhu main wohi sapna
phir kyun chahu main us dil ko
jo kabhi lagta tha bas apna
phir kaise todu woh waada
jo khud se kabhi kiya hi nahin
phir kyun karru main uska intezaar
phir kyun dekhu main uska raasta
kyun..phir kyun...jaane kyun !!
No comments:
Post a Comment